Sunday, 21 July 2013

Yun Toh Aazaad Hoon Main

Dekha tha maine ek sapna,
Ho iss mitti par kuch apna,
Par sunne mili ek hi daastaan,
Jab dekha maine saara Hindustaan…
Kehne ko toh hai yeh apni zameen,
Par hai apno mein hi bohot si kami,
Seekha ek sabak, nahi apna koi haqq,
Apni kahaan, chalti hai yahaan…

Yun toh aazaad hoon main,
Par hoon ek parinda jiske par ho katein,
Zanjeerein toh nahi,
Phir bhi lage jaise kaid hoon main…

Udna hai mujhe khule aasmaan mein,
Nahi basna uss sheeshe ke makaan mein,
Jis par patthar maar gaya kal koi,
Aur aaj hai woh neta kahi,
Chubh rahe hai bikhre tukde mere har kadam par,
Aur soye hai woh chain se makhmali bistar par,
Jagaana hai ab neend se unhe,
Par khudki koi aawaaz toh ho…

Yun toh aazaad hoon main,
Par hoon ek parinda jiske par ho katein,
Zanjeerein toh nahi,
Phir bhi lage jaise kaid hoon main…

Lagao democracy ke naare,
Aur karo dange-fasaad power mein aane,
Jeet jao jo ek baar,
Toh saare gunah maaf hai tumhare…
Utaar do ab yeh naqaab apne chehre se,
Kab tak kheloge tum apne hi watan se,
Kab tak nazarandaaz karein tumhari brashtachaari,
Bebas ho gaye hai, aisi hai laachaari…

Yun toh aazaad hoon main,
Par hoon ek parinda jiske par ho katein,
Zanjeerein toh nahi,
Phir bhi lage jaise kaid hoon main…



No comments:

Post a Comment