Main jo kehna chahta hoon woh suno toh sahi
Teri har parchayi mein main hoon kahi
Saaye sa saath rehta hoon
Tujhe itna main pyaar karta hoon
Main jo kehna chahta hoon woh suno toh sahi
Teri yaadon mein khoya rehta hoon kahi
Tere khayalon mein uljha rehta hoon
Sehar se sooraj doobne tak
Teri baaton mein dooba rehta hoon
Main jo kehna chahta hoon woh suno toh sahi
Lab par aati hai tu dua banke meri
Tu mil jaaye bas yehi hai tamanna meri
Chahta hoon tumhe poore dil se
Iss baat mein koi shaq nahi kasam se
Main jo kehna chahta hoon woh suno toh sahi
Teri har parchayi mein main hoon kahi
Saaye sa saath rehta hoon
Tujhe itna main pyaar karta hoon
Ek sawaal mera dil poochta hai mujhi ko
Ke jitna tumhe main pyaar karta hoon
Kya tum mujhse utna pyaar karti ho?
Tujhe itna main pyaar karta hoon
Saaye sa saath rehta hoon….
No comments:
Post a Comment